Thursday 29 December 2016

google ki amazing tricks

Doston !
Aaj hum baat karenge Google Ki Best Amazing & Interesting Trick's ke baare me jise aap jankar Bahut Hi dangg or hairan ho jayenge.Sabse pahle hum ye janenge ki Google kya hai..
Google Pure duniya ka no.1 search engine hai Matlab ye ki Jab bhi hum koi bhi questions Google ke Search box me dalte hai toh uska result show hone lagta hai Google ka kaam Hi hota hai kisi Dusre website ki articles ko Google me dikhane ka.Acutal me hota ye hai ki Duniya me bahut saare website bane hue hai or un sab websites me tarah tarah ki articles daali hoti hai.jaise agar aapko koi question ka answer nahi mil raha hai toh aap directly Google me Search kijiyega to aapke questions ka answer me mil jayega.Shayd aapko pata nahi hoga ki Google ka naam pahle Googol tha.Darasal Googol galati se naam par gya tha uske baad fir Googol ko change karke Google kar diya gya.ab hum baat karenge ki Aakhir
Google ko kab or kisne banaya?
Google aaj se 18 years pahle bana matlab ye ki September 4,1998 me bana tha Or Google ko banane wala do person the ek Larry Page aur dusra Sergey Brin hai
Aapko ek Zara Sa bhi andaza nahi hoga ki Google ki kamayi kitni hoti hai.
Google ki kamayi sirf India se har ek second me lagbhag 50,000₹ kamata hai.toh ek din ka 5 billions hoga toh sochiye 1 month ka or 1 year ka kitna ho jayega..
1 Second= 50,000₹
1 Day= 5 billions
Google ke products
1.Google+
2.Gmail
3.YouTube
4.Google Translator
5.Blogger
6.Google News
7.Google Map
8.Google Calendar
9.Google Hangout
10.Google BookBook
Google Ki Best Amazing & Interesting Trick's
1. Google Gravity:- Ye ek aisa amazing trick hai Jo aapne kabhi shayd socha bhi nahi hoga or n kabhi shayd dekha hoga.aur agar shayd aap aapne dekha hoga or kiya bhi hoga toh ye bahut achhi baat hai kyunki Aaj ke young log zayeda tar apna time What's App pe or Facebook pe bitate hai koi aisa sochta hi nahi hai ki Google ko hum apne tarike se jaise chahe waise ghuma sakte hai.Ji haan bilkul Ghuma sakte hai Google ko.Confuse hone ki Koi Zaroorat nahi hai aap khud se bahut Hi easy tarike se Google ko ghuma sakte hai.Google ko ghumane ke liye yahan click kare..
Click here
2.Google Translator:- Google Translator ye unke liye bahut Hi Zayeda fayedemnd hai jinka English kamzor hai..isiliye specially unke liye ye trick laaye ha Jo aapke kisi bhi Hindi sentence ko English me translate kr dega..Hindi sentence ko English me translate karne ke liye yahan click kare.
Click here
3.Flip a Coin:- Flip a coin se aap smjh rahe hai ki ye kya kaam aa sakta hai.agar aapko smjh me nahi aa raha hai toh koi baat nahi..darasal ye Flip a coin Toss karne ke liye use hota hai..Waise aap logo ke saath kabhi aisa hua hoga ki aap match khelne toh chale gye lekin aapke paas coin nahi hai..toh ab aap befikar ho jaiye Kyunki ab aap bina coin ke toss kar sakte hai.Toss karne ke liye yahan click kare..
Click here
4.Google Gravity Underwater:- Ye Underwater me aapko Google dukhega upr ki taraf or aap dekhenge bilkul neat & clean kare dikhega swimming karte hue.. Sochiye kitna amazing hoga isiliye aap khud Hi dekh lijiye.dekhne ke liye yahan click kare
Click here
5.Google Sphere:- Ye aapko dikhne me behtreen lagega Kyunki usme saare functions automatically ghumte rahta hai.isme karna kuchh bhi nahi hai bas aapko dekhna hai ki kaise kaise saare functions apne aap ghum rahe hai..dekhne ke liye yahan click kare
Click her e
6.Google Calculator: Ye trick bhi ek dum mazedar hai Kyunki aapko pahle kabhi kisi calculations ke liye calculator ka use krna parta tha.or ek time aisa aaya ki ghar ghr me mobile or sabhi mobile me Calculator ka use karne lage hai..lekin kabhi aapne ye socha ki Hum Google se bhi search karke calculator ka use kar sakte hai waise ye link pe bhi click karke aap calculator ka use kar sakte hai
Click here
7.Do a Barrel Roll: ye ek aisa trick hai jiske zariye aap Apne Search kiye hue page ko 360° pe rotate kar sakte hai.yw bahut Hi Zayeda amazing hai page khulte hi pura page move hone lagega ise dekhne ke liye yahan click kare.
Click here
8.Google Chrome: Ye Google Chrome Browser bahut Hi Zayeda popular hai Kyunki uski bahut aisi khubiyan hai jis hum sabhi ko behad pasand aata hai or isme ek bachho ke liye game bhi hai.ji haan bilkul sahi suna .Is Google Chrome Browser me Game bhi hai..Game kaise aata hai ye janiye.. jab bhi hum internet use karte Hai or kabhi kabhi aap dekhe honge ki Jab Internet automatically disconnect ho jata hai toh error me ek Diana soure dikhta hai .actual me wo game hai.is game ko khelne ke liye Diana sour pe click kare.Game start ho Jayega
9.Conversion:- Conversion se aap samjh hi gye honge ki ye kya kya kaam aa sakta hai waise mai bata deta hun ki kya kya kaam aa sakta hai jaise kisi bhi unit ko aap convert kar sakte hai example:- km ko m me change kar sakte hai or minutes ko seconds me or bhi bahut kuchh dekhne ke liye yahan click kare
Click here
10.Stopwatch:- Ab ye Google me bhi search karke Stopwatch Start kar sakte hai
Bilkul simple hai check karna check karne ke liye yahan is link pe click karke dekhe.
Click here
Note:-Doston kaisa laga ye Google ki Secret & Amazing trick.Agar aapko pasand aaya toh like kare or share kare or comments Zaroor ka

No comments:

Post a Comment